Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Devmani pandey

  • Ghazal


kuchh yun safar ke shauq ne manzar dikhae hain


kuchh yuuñ safar ke shauq ne manzar dikhā.e haiñ
manzil ke paas aa ke qadam laḌkhaḌā.e haiñ

duniyā ke dukh tumhāre sitam dostoñ ke ġham
kis kis ko ham batā.eñ ki kis ke satā.e haiñ

aa.e haiñ ishq meñ kabhī aise maqām bhī
āñkheñ thiiñ ashk-bār to lab muskurā.e haiñ

akasr lagā hai sach bhī mirā jhuuT aap ko
par sach yahī hai maiñ ne bahut zaḳhm khaa.e haiñ

aisā lagā ki jaag uThe pattharoñ meñ sar
jab bhī tumhāre hoñT kabhī gungunā.e haiñ

kuchh yun safar ke shauq ne manzar dikhae hain
manzil ke pas aa ke qadam laDkhaDae hain

duniya ke dukh tumhaare sitam doston ke gham
kis kis ko hum bataen ki kis ke satae hain

aae hain ishq mein kabhi aise maqam bhi
aankhen thin ashk-bar to lab muskurae hain

akasr laga hai sach bhi mera jhuT aap ko
par sach yahi hai main ne bahut zaKHm khae hain

aisa laga ki jag uThe pattharon mein sar
jab bhi tumhaare honT kabhi gungunae hain


Source: Book : Apna to mile koi (Pg. 22) Author : Devmani Pandey Publication : Amrit parkashan (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+