Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iliyas Babar Aawan

  • Ghazal


jitni achchhi baaten hain


jitnī achchhī bāteñ haiñ
saarī terī bāteñ haiñ

jin meñ terā zikr nahīñ
vo bhī koī bāteñ haiñ

jo chuTkī meñ kahte ho
sochī samjhī bāteñ haiñ

terā merā koī nahīñ
terī merī bāteñ haiñ

dīvāroñ ke hoñToñ par
TuuTī phūTī bāteñ haiñ

jitnā pyārā chehra hai
utnī pyārī bāteñ haiñ

nayā nayā to dikhtā huuñ
vahī purānī bāteñ haiñ

ik anjāne number par
ḳhāmoshī hī bāteñ haiñ

sheroñ se tum duur raho
chiknī chupḌī bāteñ haiñ

jinheñ mukammal jaanā thā
vahī adhūrī bāteñ haiñ

un ke rañg bhī hote haiñ
ye jo niilī bāteñ haiñ

jitni achchhi baaten hain
sari teri baaten hain

jin mein tera zikr nahin
wo bhi koi baaten hain

jo chuTki mein kahte ho
sochi samjhi baaten hain

tera mera koi nahin
teri meri baaten hain

diwaron ke honTon par
TuTi phuTi baaten hain

jitna pyara chehra hai
utni pyari baaten hain

naya naya to dikhta hun
wahi purani baaten hain

ek anjaane number par
KHamoshi hi baaten hain

sheron se tum dur raho
chikni chupDi baaten hain

jinhen mukammal jaana tha
wahi adhuri baaten hain

un ke rang bhi hote hain
ye jo nili baaten hain


Leave a comment

+