Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Basir Sultan Kazmi

  • Ghazal


maujib-e-rang-e-chaman KHun-e-shahidan nikla


maujib-e-rañg-e-chaman ḳhūn-e-shahīdāñ niklā
maut kī jeb se bhī ziist kā sāmāñ niklā

Thokareñ khaa.ī haiñ utnī ki ab apne dil se
shauq-e-āvārgī-e-dasht-o-bayābāñ niklā

ham bahut ḳhush the ki jaag uTThī hai apnī qismat
aane vaalā kisī hamsā.e kā mehmāñ niklā

hai ajab baat ki jis raste pe ham chal nikle
ghuum phir kar vo sar-e-kūcha-e-jānāñ niklā

be-hisī ne jo kabhī fursat-e-ġham dī ham ko
ek sailāb-e-nahufta tah-e-mizhgāñ niklā

chārāgar ḳhatra-e-jāñ kahte the jis ko 'bāsir'
vahī ġham bā.is-e-ārām-e-rag-e-jāñ niklā

maujib-e-rang-e-chaman KHun-e-shahidan nikla
maut ki jeb se bhi zist ka saman nikla

Thokaren khai hain utni ki ab apne dil se
shauq-e-awargi-e-dasht-o-bayaban nikla

hum bahut KHush the ki jag uTThi hai apni qismat
aane wala kisi hamsae ka mehman nikla

hai ajab baat ki jis raste pe hum chal nikle
ghum phir kar wo sar-e-kucha-e-jaanan nikla

be-hisi ne jo kabhi fursat-e-gham di hum ko
ek sailab-e-nahufta tah-e-mizhgan nikla

chaaragar KHatra-e-jaan kahte the jis ko 'basir'
wahi gham bais-e-aram-e-rag-e-jaan nikla


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 254) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+