intizār kī had tak intizār karnā thā
e.atibār kī had tak e.atibār karnā thā
hāl-e-dil to kahnā thā muḳhtasar magar qāsid
iḳhtisār kī had tak iḳhtisār karnā thā
ḳhvāb ho ki bedārī-e-āh-o-nāla-o-zārī
iḳhtiyār kī had tak iḳhtiyār karnā thā
us ne hasb-e-āsā.ish kī adū ko fahmā.ish
ḳhāksār kī had tak ḳhāksār karnā thā
na.ash bhī mirī us ne qabr meñ na rahne dī
be-dayār kī had tak be-dayār karnā thā
yaas ho ki sarmastī chaak jāma-e-hastī
taar taar kī had tak taar taar karnā thā
ai 'tamīz' yāroñ par nā-tavāñ sahāroñ par
inhisār kī had tak inhisār karnā thā
intizar ki had tak intizar karna tha
eatibar ki had tak eatibar karna tha
haal-e-dil to kahna tha muKHtasar magar qasid
iKHtisar ki had tak iKHtisar karna tha
KHwab ho ki bedari-e-ah-o-nala-o-zari
iKHtiyar ki had tak iKHtiyar karna tha
us ne hasb-e-asaish ki adu ko fahmaish
KHaksar ki had tak KHaksar karna tha
nash bhi meri us ne qabr mein na rahne di
be-dayar ki had tak be-dayar karna tha
yas ho ki sarmasti chaak jama-e-hasti
tar tar ki had tak tar tar karna tha
ai 'tamiz' yaron par na-tawan sahaaron par
inhisar ki had tak inhisar karna tha
Source: Shauq Ka Daftar
Leave a comment