Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najeeb Ahmad

  • Ghazal


naw KHasta bhi na thi mauj mein dariya bhi na tha


naav ḳhasta bhī na thī mauj meñ dariyā bhī na thā
paar utartā thā magar tujh pe bharosa bhī na thā

zindagī haath na de paa.ī mire hāthoñ meñ
saath jaanā bhī na thā haath chhuḌānā bhī na thā

jin pe ik umr chalā thā unhī rastoñ pe kahīñ
vāpas aayā to mirā naqsh-e-kaf-e-pā bhī na thā

ġharq-e-duniyā ke liye dast-e-duā kyā uThte
koī is ghar meñ duā māñgne vaalā bhī na thā

har koī merā ḳharīdār nazar aayā mujhe
chaak par maiñ ne abhī ḳhud ko ubhārā bhī na thā

phailtā jaatā hai har saañs rag o pai meñ 'najīb'
ek sahrā jo abhī raah meñ aayā bhī na thā

naw KHasta bhi na thi mauj mein dariya bhi na tha
par utarta tha magar tujh pe bharosa bhi na tha

zindagi hath na de pai mere hathon mein
sath jaana bhi na tha hath chhuDana bhi na tha

jin pe ek umr chala tha unhi raston pe kahin
wapas aaya to mera naqsh-e-kaf-e-pa bhi na tha

gharq-e-duniya ke liye dast-e-dua kya uThte
koi is ghar mein dua mangne wala bhi na tha

har koi mera KHaridar nazar aaya mujhe
chaak par main ne abhi KHud ko ubhaara bhi na tha

phailta jata hai har sans rag o pai mein 'najib'
ek sahra jo abhi rah mein aaya bhi na tha


Leave a comment

+