Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


barahman le ke jo mere liye zunnar aaya


barahman le ke jo mere liye zunnār aayā
us ne samjhā ki yahī but kā ḳharīdār aayā

ḳhud ḳharīdār huā husn-e-butāñ kā vo kabhī
ho ke yūsuf vo kabhī bar-sar-e-bāzār aayā

shauq thāme thā kamar aur tamannā baazū
kū-e-jānāñ meñ mirā jab dil-e-bīmār aayā

lāla-ruḳh kaisā hai dekhūñ to zarā chal ke use
kis liye dil kī imārat meñ na vo yaar aayā

roz-e-raushan sī shab-e-tār huī āñkhoñ meñ
jis ghaḌī yaad tirā gesū-e-ḳhamdār aayā

hasrat-o-yās-o-tamannā ke mile pushtāre
kārvāñ ishq kā mujh tak ye liye baar aayā

kyā Darātā hai mujhe teġh dikhā kar qātil
maqtal-e-ishq meñ marne ko maiñ tayyār aayā

talḳhī-e-marg bhī dene lagī mujh ko lazzat
sar-e-bālīñ dam-e-murdan jo mirā yaar aayā

mere dilbar ke tasavvur ne kiyā is ko hasīñ
maiñ na samjhā ye qazā aa.ī ki vo yaar aayā

koī le jā ke mire dil ko ye kahtā us se
le tire gesu-e-pur-ḳham kā giraftār aayā

ai 'jamīla' na milā but na milā mujh ko ḳhudā
maiñ to us hasti-e-mauhūm meñ be-kār aayā

barahman le ke jo mere liye zunnar aaya
us ne samjha ki yahi but ka KHaridar aaya

KHud KHaridar hua husn-e-butan ka wo kabhi
ho ke yusuf wo kabhi bar-sar-e-bazar aaya

shauq thame tha kamar aur tamanna bazu
ku-e-jaanan mein mera jab dil-e-bimar aaya

lala-ruKH kaisa hai dekhun to zara chal ke use
kis liye dil ki imarat mein na wo yar aaya

roz-e-raushan si shab-e-tar hui aankhon mein
jis ghaDi yaad tera gesu-e-KHamdar aaya

hasrat-o-yas-o-tamanna ke mile pushtare
karwan ishq ka mujh tak ye liye bar aaya

kya Daraata hai mujhe tegh dikha kar qatil
maqtal-e-ishq mein marne ko main tayyar aaya

talKHi-e-marg bhi dene lagi mujh ko lazzat
sar-e-baalin dam-e-murdan jo mera yar aaya

mere dilbar ke tasawwur ne kiya is ko hasin
main na samjha ye qaza aai ki wo yar aaya

koi le ja ke mere dil ko ye kahta us se
le tere gesu-e-pur-KHam ka giraftar aaya

ai 'jamila' na mila but na mila mujh ko KHuda
main to us hasti-e-mauhum mein be-kar aaya


Leave a comment

+