Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsan Ali Khan

  • Ghazal


ab to bosida ho chale hain hum


ab to bosīda ho chale haiñ ham
TūTne phūTne lage haiñ ham

zaḳhm-e-dil kī kasak chhupāne ko
jism par ghaav chāhte haiñ ham

ab nahīñ fikr-e-sūd rañj-e-ziyāñ
ḳhvār honā thā ho chuke haiñ ham

ab sabhī kuchh hameñ gavārā hai
haa.e kitne badal ga.e haiñ ham

ham se dāman bachā ke chaltī hai
ai sabā tujh ko jānte haiñ ham

rāhbar ke baġhair hī 'ahsan'
na.ī rāhoñ pe chal sake haiñ ham

ab to bosida ho chale hain hum
TuTne phuTne lage hain hum

zaKHm-e-dil ki kasak chhupane ko
jism par ghaw chahte hain hum

ab nahin fikr-e-sud ranj-e-ziyan
KHwar hona tha ho chuke hain hum

ab sabhi kuchh hamein gawara hai
hae kitne badal gae hain hum

hum se daman bacha ke chalti hai
ai saba tujh ko jaante hain hum

rahbar ke baghair hi 'ahsan'
nai rahon pe chal sake hain hum


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+