Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


dil ki kashti tere hawale


dil kī kashtī tere havāle
tere sivā ab kaun sambhāle

pyaar meñ paḌ ga.e jaan ke laale
aañkh meñ aañsū paañv meñ chhāle

kaun hai tere dukh kā sāthī
apnī duniyā aap basā le

ḳhuuñ hotī hai jis kī tamannā
aise bhī haiñ jiine vaale

duniyāñ jannat duniyāñ dozaḳh
jaise chāhe vaisā banā le

raat aur din meñ kyā kyā dekhā
dil meñ añdhere dil meñ ujāle

is duniyā kā hāsil ye hai
pyaar kisī kā dil meñ basā le

pyaar kā ye dastūr nahīñ hai
chupke chupke rone vaale

ḳhud hī apne poñchh le aañsū
kaun 'habīb' hai aane vaale

dil ki kashti tere hawale
tere siwa ab kaun sambhaale

pyar mein paD gae jaan ke lale
aankh mein aansu panw mein chhaale

kaun hai tere dukh ka sathi
apni duniya aap basa le

KHun hoti hai jis ki tamanna
aise bhi hain jine wale

duniyan jannat duniyan dozaKH
jaise chahe waisa bana le

raat aur din mein kya kya dekha
dil mein andhere dil mein ujale

is duniya ka hasil ye hai
pyar kisi ka dil mein basa le

pyar ka ye dastur nahin hai
chupke chupke rone wale

KHud hi apne ponchh le aansu
kaun 'habib' hai aane wale


Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 119) Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب

Leave a comment

+