dair-o-ka.aba kī azmat musallam magar
mai-kada bhī ḳhudā hī ke ghar sā lage
chāñd tāroñ kī jo de rahā hai ḳhabar
dekhne meñ to vo be-ḳhabar sā lage
gumrahī meñ bhī dīvāna-e-dil-figār
manzil-e-hosh kā rāhbar sā lage
ye jahāñ rashk-e-jannat hai kis ke liye
aur kisī ko yahī dard-e-sar sā lage
jhiil meñ adh-khile phuul par chāñdnī
ham ko manzar ye terī nazar sā lage
sham-e-bazm-e-adab thā vo kal tak magar
aaj 'lāġhar' charāġh-e-sahar sā lage
dair-o-kaba ki azmat musallam magar
mai-kada bhi KHuda hi ke ghar sa lage
chand taron ki jo de raha hai KHabar
dekhne mein to wo be-KHabar sa lage
gumrahi mein bhi diwana-e-dil-figar
manzil-e-hosh ka rahbar sa lage
ye jahan rashk-e-jannat hai kis ke liye
aur kisi ko yahi dard-e-sar sa lage
jhil mein adh-khile phul par chandni
hum ko manzar ye teri nazar sa lage
sham-e-bazm-e-adab tha wo kal tak magar
aaj 'laghar' charagh-e-sahar sa lage
Source: Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 250) Author : Sahir Hoshiyarpuri Publication : Haryana Urdu Acadami (1992) Edition : 1992
Leave a comment