be-niyāz-e-saut-o-mahrūm-e-bayāñ rakkhā gayā
ya.anī harf-e-shauq ko zer-e-zabāñ rakkhā gayā
ḳhvāb meñ rakkhī ga.ī buniyād-e-shahr-e-ārzū
qaid meñ barfāb kī sho.ala javāñ rakkhā gayā
rahnumā.ī dī ga.ī har mauj-e-tund-o-tez ko
pāniyoñ par har safīne ko ravāñ rakkhā gayā
qudsiyoñ ko rif.ateñ baḳhshī ga.iiñ firdaus kī
ḳhaak ke putle ko zer-e-āsmāñ rakkhā gayā
dopahar kī dhuup meñ 'āsif' jalā jaatā hai jism
sāya-e-ashjār ko jaane kahāñ rakkhā gayā
be-niyaz-e-saut-o-mahrum-e-bayan rakkha gaya
yani harf-e-shauq ko zer-e-zaban rakkha gaya
KHwab mein rakkhi gai buniyaad-e-shahr-e-arzu
qaid mein barfab ki shoala jawan rakkha gaya
rahnumai di gai har mauj-e-tund-o-tez ko
paniyon par har safine ko rawan rakkha gaya
qudsiyon ko rifaten baKHshi gain firdaus ki
KHak ke putle ko zer-e-asman rakkha gaya
dopahar ki dhup mein 'asif' jala jata hai jism
saya-e-ashjar ko jaane kahan rakkha gaya
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment