Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsan Danish

  • Ghazal


soz-e-junun ko dil ki ghiza kar diya gaya


soz-e-junūñ ko dil kī ġhizā kar diyā gayā
ik zahr-e-jāñ-talab ko davā kar diyā gayā

nāsūr bhar sake na fuġhāñ zabt ho sakī
jab nai ko nīstāñ se judā kar diyā gayā

ahl-e-vafā meñ maut kī talḳhī ko sar-ba-sar
qañdāb-e-zindagī se sivā kar diyā gayā

azbar karā diyā hai ḳhizāñ ko nisāb-e-gul
sarsar ko dars de ke sabā kar diyā gayā

sūraj se rañg rañg kī kirneñ bikher kar
miTTī kā zard khet harā kar diyā gayā

lahkī azaan bajne lage rāstoñ ke farsh
kirnoñ ko qaid-e-shab se rihā kar diyā gayā

rūh-e-bahār ḳhūn-e-shahīdāñ kā rañg dekh
ḳhāk-e-chaman ko lāla-qabā kar diyā gayā

soz-e-junun ko dil ki ghiza kar diya gaya
ek zahr-e-jaan-talab ko dawa kar diya gaya

nasur bhar sake na fughan zabt ho saki
jab nai ko nistan se juda kar diya gaya

ahl-e-wafa mein maut ki talKHi ko sar-ba-sar
qandab-e-zindagi se siwa kar diya gaya

azbar kara diya hai KHizan ko nisab-e-gul
sarsar ko dars de ke saba kar diya gaya

suraj se rang rang ki kirnen bikher kar
miTTi ka zard khet hara kar diya gaya

lahki azan bajne lage raston ke farsh
kirnon ko qaid-e-shab se riha kar diya gaya

ruh-e-bahaar KHun-e-shahidan ka rang dekh
KHak-e-chaman ko lala-qaba kar diya gaya


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 289) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+