Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tamanna Jamali

  • Ghazal


sari duniya ke sitam aur mera dil tanha


saarī duniyā ke sitam aur mirā dil tanhā
maiñ ne jhelī hai zamāne meñ ye mushkil tanhā

sab ne hañgāma-e-mahfil ke maze luuTe haiñ
rah ga.ī sham.a be-chārī sar-e-mahfil tanhā

kab talak Thiik na hogā ġham-e-daurāñ kā mizāj
ham bhī baiThe haiñ zamāne ke muqābil tanhā

ab kisī rahbar-e-manzil kī tamannā bhī nahīñ
maiñ akelā huuñ musāfir mirī manzil tanhā

sari duniya ke sitam aur mera dil tanha
main ne jheli hai zamane mein ye mushkil tanha

sab ne hangama-e-mahfil ke maze luTe hain
rah gai shama be-chaari sar-e-mahfil tanha

kab talak Thik na hoga gham-e-dauran ka mizaj
hum bhi baiThe hain zamane ke muqabil tanha

ab kisi rahbar-e-manzil ki tamanna bhi nahin
main akela hun musafir meri manzil tanha


Source: Book :  Anoop Jalota ki Ghazalen (Pg. 99) Author : Anoop Jalota Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj

Leave a comment

+