ahvāl pochhiye mirā āzār jāniye
zanjīr dekh kar na giraftār jāniye
afsos jā chukā hai ghaḌī dekhne kā vaqt
ab dhuup se hī vaqt kī raftār jāniye
hañsiye janāb der tak ab apne aap par
kis ne kahā thā ḳhud ko samajhdār jāniye
kuchh der baiTh jā.iye dīvār ke qarīb
kyā kah rahā hai sāya-e-dīvār jāniye
āsāñ nahīñ hai jānñā is shahr kā mizāj
sau baar dekhiye use sau baar jāniye
kyā rabt-e-ḳhās aap ko kār-e-jahāñ se hai
achchhā to aap bhī mujhe bekār jāniye
'kāshif'-husain ḳhuub hī hote haiñ ahl-e-ishq
is paar bhī khaḌe hoñ to us paar jāniye
ahwal pochhiye mera aazar jaaniye
zanjir dekh kar na giraftar jaaniye
afsos ja chuka hai ghaDi dekhne ka waqt
ab dhup se hi waqt ki raftar jaaniye
hansiye janab der tak ab apne aap par
kis ne kaha tha KHud ko samajhdar jaaniye
kuchh der baiTh jaiye diwar ke qarib
kya kah raha hai saya-e-diwar jaaniye
aasan nahin hai jaanna is shahr ka mizaj
sau bar dekhiye use sau bar jaaniye
kya rabt-e-KHas aap ko kar-e-jahan se hai
achchha to aap bhi mujhe bekar jaaniye
'kashif'-husain KHub hi hote hain ahl-e-ishq
is par bhi khaDe hon to us par jaaniye
Leave a comment