mohabbat meñ na jaañ ko jaañ na dil ko dil samajhte haiñ
use āsāñ banāte haiñ jise mushkil samajhte haiñ
ham apnī zindagānī kī taġhayyur-ḳhez rāhoñ ko
kabhī jaada samajhte haiñ kabhī manzil samajhte haiñ
hamārā maqsad-e-avval hai jazb-e-shauq-o-sar-mastī
yahī vo zindagī hai jis ko ham kāmil samajhte haiñ
tū apne dil kī kamzorī ko samjhā hai na samjhegā
vahī mushkil meñ haiñ mushkil ko jo mushkil samajhte haiñ
'kalīm' ahl-e-takallum kī subuk bātoñ se kyuuñ uljheñ
ham apnī zindagī ko sahl yā mushkil samajhte haiñ
mohabbat mein na jaan ko jaan na dil ko dil samajhte hain
use aasan banate hain jise mushkil samajhte hain
hum apni zindagani ki taghayyur-KHez rahon ko
kabhi jada samajhte hain kabhi manzil samajhte hain
hamara maqsad-e-awwal hai jazb-e-shauq-o-sar-masti
yahi wo zindagi hai jis ko hum kaamil samajhte hain
tu apne dil ki kamzori ko samjha hai na samjhega
wahi mushkil mein hain mushkil ko jo mushkil samajhte hain
'kalim' ahl-e-takallum ki subuk baaton se kyun uljhen
hum apni zindagi ko sahl ya mushkil samajhte hain
Source: Mata-e-Kaleem
Leave a comment