Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Talib Johari

  • Ghazal


jihat ko be-jihti ke hunar ne chhin liya


jihat ko be-jihtī ke hunar ne chhīn liyā
mirī nigāh ko mere hī sar ne chhīn liyā

hai kis ke dast-e-karam meñ mahār-e-nāqa-e-jāñ
safar kā lutf ġham-e-ham-safar ne chhīn liyā

maiñ apnī ruuh ke zarre sameTtā kyuuñ kar
ye ḳhaak vo thī jise kūza-gar ne chhīn liyā

bhaTak rahe haiñ javānī ke nā-rasā-lamhāt
bahut se ghar the jinheñ ek ghar ne chhīn liyā

ba-qaul-e-'ġhālib'-e-dānā guzar hī jaatī ye umr
magar use bhī tire rahguzar ne chhīn liyā

shikār-gāh shikārī ke ḳhuuñ se rañgīñ hai
zamīñ kā rizq kisī jānvar ne chhīn liyā

safar kī ruuh thā vo zauq-e-justujū 'tālib'
jise charāġh-e-sar-e-rahguzar ne chhīn liyā

jihat ko be-jihti ke hunar ne chhin liya
meri nigah ko mere hi sar ne chhin liya

hai kis ke dast-e-karam mein mahaar-e-naqa-e-jaan
safar ka lutf gham-e-ham-safar ne chhin liya

main apni ruh ke zarre sameTta kyun kar
ye KHak wo thi jise kuza-gar ne chhin liya

bhaTak rahe hain jawani ke na-rasa-lamhat
bahut se ghar the jinhen ek ghar ne chhin liya

ba-qaul-e-'ghaalib'-e-dana guzar hi jati ye umr
magar use bhi tere rahguzar ne chhin liya

shikar-gah shikari ke KHun se rangin hai
zamin ka rizq kisi jaanwar ne chhin liya

safar ki ruh tha wo zauq-e-justuju 'talib'
jise charagh-e-sar-e-rahguzar ne chhin liya


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+