Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Rahi

  • Ghazal


koi baadal tapish-e-gham se pighalta hi nahin


koī bādal tapish-e-ġham se pighaltā hī nahīñ
aur dil hai ki kisī tarah bahaltā hī nahīñ

sab yahāñ baiThe haiñ ThiThure hue jammuñ ko liye
dhuup kī khoj meñ ab koī nikaltā hī nahīñ

sirf ik maiñ huuñ jo har roz nayā lagtā huuñ
varna is shahr meñ to koī badaltā hī nahīñ

koi baadal tapish-e-gham se pighalta hi nahin
aur dil hai ki kisi tarah bahalta hi nahin

sab yahan baiThe hain ThiThure hue jammun ko liye
dhup ki khoj mein ab koi nikalta hi nahin

sirf ek main hun jo har roz naya lagta hun
warna is shahr mein to koi badalta hi nahin


Source: Lamha Lamha Jaagi Raat

Leave a comment

+