maiñ dayār-e-qātilāñ kā ek tanhā ajnabī
DhūñDhne niklā huuñ ḳhud apne hī jaisā ajnabī
āshnāoñ se savāl-e-āshnā.ī kar ke dekh
phir pata chal jā.egā hai kaun kitnā ajnabī
Dūbte mallāh tinkoñ se madad māñgā kiye
kashtiyāñ Dūbīñ to thī har mauj-e-dariyā ajnabī
mil jo mujh ko āfiyat kī bhiik dene aa.e the
kis se pūchhūñ kaun the vo āshnā yā ajnabī
be-muravvat shahriyoñ ne fāsle kam kar diye
varna pahle shahr ko lagtā thā sahrā ajnabī
ye munāfiq ruup kab se merī aadat ban gayā
mere chehre se hai kyuuñ merā sarāpā ajnabī
main dayar-e-qatilan ka ek tanha ajnabi
DhunDhne nikla hun KHud apne hi jaisa ajnabi
aashnaon se sawal-e-ashnai kar ke dekh
phir pata chal jaega hai kaun kitna ajnabi
Dubte mallah tinkon se madad manga kiye
kashtiyan Dubin to thi har mauj-e-dariya ajnabi
mil jo mujh ko aafiyat ki bhik dene aae the
kis se puchhun kaun the wo aashna ya ajnabi
be-murawwat shahriyon ne fasle kam kar diye
warna pahle shahr ko lagta tha sahra ajnabi
ye munafiq rup kab se meri aadat ban gaya
mere chehre se hai kyun mera sarapa ajnabi
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment