Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Banarasi

  • Ghazal


dil ki aawaz mein aawaz milate rahiye


dil kī āvāz meñ āvāz milāte rahiye
jāgte rahiye zamāne ko jagāte rahiye

daulat-e-ishq nahīñ bāñdh ke rakhne ke liye
is ḳhazāne ko jahāñ tak ho luTāte rahiye

zindagī bhī kisī mahbūb se kuchh kam to nahīñ
pyaar hai us se to phir naaz uThāte rahiye

zindagī dard kī tasvīr na banñe paa.e
bolte rahiye zarā hañste hañsāte rahiye

rūThnā bhī hai hasīnoñ kī adā meñ shāmil
aap kā kaam manānā hai manāte rahiye

phuul bikhrātā huā maiñ tau chalā jā.ūñgā
aap kāñTe mirī rāhoñ meñ bichhāte rahiye

bevafā.ī kā zamāna hai magar aap 'hafīz'
naġhma-e-mehr-o-vafā sab ko sunāte rahiye

dil ki aawaz mein aawaz milate rahiye
jagte rahiye zamane ko jagate rahiye

daulat-e-ishq nahin bandh ke rakhne ke liye
is KHazane ko jahan tak ho luTate rahiye

zindagi bhi kisi mahbub se kuchh kam to nahin
pyar hai us se to phir naz uThate rahiye

zindagi dard ki taswir na banne pae
bolte rahiye zara hanste hansate rahiye

ruThna bhi hai hasinon ki ada mein shamil
aap ka kaam manana hai manate rahiye

phul bikhraata hua main tau chala jaunga
aap kanTe meri rahon mein bichhate rahiye

bewafai ka zamana hai magar aap 'hafiz'
naghma-e-mehr-o-wafa sab ko sunate rahiye


Source: Book : Safeer-e-shar-e-dil (Pg. 340) Author : Hafeez Banarsi Publication : Hafeez Banarsi (2007) Edition : 2007

Leave a comment

+