Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Moradaabadi

  • Ghazal


ek ek lamha guzara ja raha hai hosh mein


ek ik lamha guzārā jā rahā hai hosh meñ
ai zahe-qismat jo haiñ tūfān kī āġhosh meñ

ab ye aalam hai hamārā bandagī ke josh meñ
ek sajda be-ḳhudī meñ ek sajda hosh meñ

maslahat kuchh bhī na kahne de to is kā kyā ilaaj
jaane kitnī dāstāneñ haiñ lab-e-ḳhāmosh meñ

uf ye sailāb-e-havādis haa.e ye tūfān-e-ġham
yuuñ bhī laatā hogā dīvāne ko koī hosh meñ

Dar hai ahl-e-kārvāñ kī tezī-e-raftār se
apnī manzil bhī na kho baiTheñ kisī din josh meñ

sāmne mahshar ho yā kaunain chāhe kuchh bhī ho
un kā dīvāna to ab aatā nahīñ hai hosh meñ

'kaif' se pūchhe koī tere karam kī vus.ateñ
us ne dekhā hai do-ālam ko tirī āġhosh meñ

ek ek lamha guzara ja raha hai hosh mein
ai zahe-qismat jo hain tufan ki aaghosh mein

ab ye aalam hai hamara bandagi ke josh mein
ek sajda be-KHudi mein ek sajda hosh mein

maslahat kuchh bhi na kahne de to is ka kya ilaj
jaane kitni dastanen hain lab-e-KHamosh mein

uf ye sailab-e-hawadis hae ye tufan-e-gham
yun bhi lata hoga diwane ko koi hosh mein

Dar hai ahl-e-karwan ki tezi-e-raftar se
apni manzil bhi na kho baiThen kisi din josh mein

samne mahshar ho ya kaunain chahe kuchh bhi ho
un ka diwana to ab aata nahin hai hosh mein

'kaif' se puchhe koi tere karam ki wusaten
us ne dekha hai do-alam ko teri aaghosh mein


Leave a comment

+