sharāb shahr meñ nīlām ho ga.ī hogī
adālat aaj bhī nākām ho ga.ī hogī
maiñ jis ġhazal meñ tirā husn le ke aayā thā
purānī baat sahī aam ho ga.ī hogī
maiñ chāñd bhej rahā huuñ ki tum ko dekh aa.e
tumhāre shahr meñ ab shaam ho ga.ī hogī
uThā ke laayā thā ik dev-dāsī mandir se
to kyā vo dāḳhil-e-islām ho ga.ī hogī
ye ishq khel nahīñ hai chhupan-chhupā.ī kā
tū ek baar to bad-nām ho ga.ī hogī
sharab shahr mein nilam ho gai hogi
adalat aaj bhi nakaam ho gai hogi
main jis ghazal mein tera husn le ke aaya tha
purani baat sahi aam ho gai hogi
main chand bhej raha hun ki tum ko dekh aae
tumhaare shahr mein ab sham ho gai hogi
uTha ke laya tha ek dew-dasi mandir se
to kya wo daKHil-e-islam ho gai hogi
ye ishq khel nahin hai chhupan-chhupai ka
tu ek bar to bad-nam ho gai hogi
Leave a comment