buland ziist kā apnī vaqār ho na sakā
tirī nazar meñ mirā pyaar pyaar ho na sakā
zamāna zindagī kā sāzgār ho na sakā
jiye zarūr magar e'tibār ho na sakā
tirā vaqār mukammal vaqār ho na sakā
kisī se tujh ko zamāne meñ pyaar ho na sakā
zamāna saarā huā hai tumhārā mahram-e-rāz
na ho sakā to mirā e'tibār ho na sakā
hayāt guzrī zamāne kī ġham-gusārī meñ
magar koī bhī mirā ġham-gusār ho na sakā
buland zist ka apni waqar ho na saka
teri nazar mein mera pyar pyar ho na saka
zamana zindagi ka sazgar ho na saka
jiye zarur magar e'tibar ho na saka
tera waqar mukammal waqar ho na saka
kisi se tujh ko zamane mein pyar ho na saka
zamana sara hua hai tumhaara mahram-e-raaz
na ho saka to mera e'tibar ho na saka
hayat guzri zamane ki gham-gusari mein
magar koi bhi mera gham-gusar ho na saka
Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 165) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14
Leave a comment