Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Aali

  • Ghazal


kuchh aur mere dard ke shoalon ko hawa do


kuchh aur mire dard ke sho.aloñ ko havā do
be-nūr hue daaġh añdherā hai ziyā do

pīchhe ġham-o-andoh ke fir.aun kā lashkar
aage alam-o-yās kā dariyā hai asā do

maiñ dasht-e-ġham-e-ishq meñ hañstā huā aa.uuñ
raste se ġham-e-dahr kī dīvār haTā do

maiñ aur sulagtā huā sahrā-e-tajassus
bhaTkā huā raahī huuñ koī raah dikhā do

kyuuñ merī shikastoñ ko sahārā nahīñ miltā
insān huuñ muhtāj ḳhudā kā huuñ ḳhudā do

is shahar meñ jiine kī hai ab ek hī sūrat
ehsās ke mansūr ko suulī pe chaḌhā do

is daur kā suqrāt huuñ sach bol rahā huuñ
kyā der hai kyuuñ chup ho mujhe zahr pilā do

kuchh aur mere dard ke shoalon ko hawa do
be-nur hue dagh andhera hai ziya do

pichhe gham-o-andoh ke firaun ka lashkar
aage alam-o-yas ka dariya hai asa do

main dasht-e-gham-e-ishq mein hansta hua aaun
raste se gham-e-dahr ki diwar haTa do

main aur sulagta hua sahra-e-tajassus
bhaTka hua rahi hun koi rah dikha do

kyun meri shikaston ko sahaara nahin milta
insan hun muhtaj KHuda ka hun KHuda do

is shahar mein jine ki hai ab ek hi surat
ehsas ke mansur ko suli pe chaDha do

is daur ka suqraat hun sach bol raha hun
kya der hai kyun chup ho mujhe zahr pila do


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+