Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ibrat Bahraichi

  • Ghazal


tum sa gar rahbar nahin hota


tum sā gar rāhbar nahīñ hotā
koī bhī raah par nahīñ hotā

rāste bhī fareb dete haiñ
jab koī ham-safar nahīñ hotā

us kī yādeñ jo ham-safar hotīñ
to safar tūl-tar nahīñ hotā

apne saa.e se jo na ho mahrūm
aisā koī shajar nahīñ hotā

haañ maiñ us kī agar milātā haañ
daar pe merā sar nahīñ hotā

maiñ nikaltā huuñ jab safar ke liye
ghar meñ raḳht-e-safar nahīñ hotā

laakh kartā huuñ koshisheñ 'ibrat'
ġham magar muḳhtasar nahīñ hotā

tum sa gar rahbar nahin hota
koi bhi rah par nahin hota

raste bhi fareb dete hain
jab koi ham-safar nahin hota

us ki yaaden jo ham-safar hotin
to safar tul-tar nahin hota

apne sae se jo na ho mahrum
aisa koi shajar nahin hota

han main us ki agar milata han
dar pe mera sar nahin hota

main nikalta hun jab safar ke liye
ghar mein raKHt-e-safar nahin hota

lakh karta hun koshishen 'ibrat'
gham magar muKHtasar nahin hota


Source: Book : Magz-e-Sukhan (Pg. 21) Author : Ibrat Bahraichi Publication : Dr. Ibrat Bahraichi (2017) Edition : 2017

Leave a comment

+