kyā kahūñ un kī nigāh-e-fitna-zā kyā kah ga.ī
lab tak aate aate dil kī baat dil meñ rah ga.ī
tāb-e-nazzāra thī kis ko jab vo aa.e be-naqāb
diid kī ek ek rut to dil meñ ghuT kar rah ga.ī
kaT ga.ī shab rote rote intizār-e-yār meñ
aarzū ek ek dil kī ashk ban kar bah ga.ī
aap se lab par shikāyat bhī kabhī aa.ī kaho
go mirī jān-e-hazīñ sadme hazāroñ sah ga.ī
sar gayā to kyā huā ham miT ga.e to kyā 'naresh'
aabrū to kūcha-e-qātil meñ apnī rah ga.ī
kya kahun un ki nigah-e-fitna-za kya kah gai
lab tak aate aate dil ki baat dil mein rah gai
tab-e-nazzara thi kis ko jab wo aae be-naqab
did ki ek ek rut to dil mein ghuT kar rah gai
kaT gai shab rote rote intizar-e-yar mein
aarzu ek ek dil ki ashk ban kar bah gai
aap se lab par shikayat bhi kabhi aai kaho
go meri jaan-e-hazin sadme hazaron sah gai
sar gaya to kya hua hum miT gae to kya 'naresh'
aabru to kucha-e-qatil mein apni rah gai
Source:
Leave a comment