dil ko jab hāsil safā.ī ho ga.ī
jalva-gar but meñ ḳhudā.ī ho ga.ī
zikr vasl aa aa ke lab par rah gayā
ye bhī kyā āshiq kī aa.ī ho ga.ī
vaar kyā shaitān kā ab chal sake
vo bhī ik gandum-numā.ī ho ga.ī
nuur har patthar meñ paayā tuur kā
chashm-e-dil ko raushnā.ī ho ga.ī
beach se parda-duī kā uTh gayā
to ḳhudī ḳhud phir ḳhudā.ī ho ga.ī
dil ko jab hasil safai ho gai
jalwa-gar but mein KHudai ho gai
zikr wasl aa aa ke lab par rah gaya
ye bhi kya aashiq ki aai ho gai
war kya shaitan ka ab chal sake
wo bhi ek gandum-numai ho gai
nur har patthar mein paya tur ka
chashm-e-dil ko raushnai ho gai
beach se parda-dui ka uTh gaya
to KHudi KHud phir KHudai ho gai
Source: Waridat
Leave a comment