Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Mohammad Wali

  • Ghazal


kamar us dilruba ki dilruba hai


kamar us dilrubā kī dilrubā hai
nigah us ḳhush-adā kī ḳhush-adā hai

sajan ke husn kuuñ Tuk fikr suuñ dekh
ki ye ā.īna-e-ma.anī-numā hai

ye ḳhat hai jauhar-e-ā.īna-rāz
ise mushk-e-ḳhutan kahnā bajā hai

huā ma.alūm tujh zulfāñ suuñ ai shoḳh
ki shāh-e-husn par zill-e-humā hai

na hove kohkan kyuuñ aa ke āshiq
jo vo shīrīñ-adā gulgūñ-qabā hai

na pūchho āh-o-zārī kī haqīqat
azīzāñ āshiqī kā muqtazā hai

'valī' kuuñ mat malāmat kar ai vaa.iz
malāmat āshiqoñ par kab ravā hai

kamar us dilruba ki dilruba hai
nigah us KHush-ada ki KHush-ada hai

sajan ke husn kun Tuk fikr sun dekh
ki ye aaina-e-mani-numa hai

ye KHat hai jauhar-e-aina-raaz
ise mushk-e-KHutan kahna baja hai

hua malum tujh zulfan sun ai shoKH
ki shah-e-husn par zill-e-huma hai

na howe kohkan kyun aa ke aashiq
jo wo shirin-ada gulgun-qaba hai

na puchho aah-o-zari ki haqiqat
azizan aashiqi ka muqtaza hai

'wali' kun mat malamat kar ai waiz
malamat aashiqon par kab rawa hai


Leave a comment

+