Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lutfunnisa Imtiyaz

  • Ghazal


dikhlaen kis maze se ab ke bahaar holi


dikhlā.eñ kis maze se ab ke bahār holī
khele haiñ sab jam.a ho kyā gul-ezār holī

saarī parī-ruḳhāñ mil kaisī machā.eñ dhūmeñ
rañg zard surḳh le kar kheleñ nigār holī

sone kī thāliyoñ meñ rakh kar abīr-o-abrak
bhar mūThiyāñ meñ pheñke kar ke pukār holī

shīshoñ meñ za.afarāñ kā rañg-e-shabāb bhar kar
uupar se qahqahoñ ke hai baar baar holī

dikhlaen kis maze se ab ke bahaar holi
khele hain sab jama ho kya gul-ezar holi

sari pari-ruKHan mil kaisi machaen dhumen
rang zard surKH le kar khelen nigar holi

sone ki thaaliyon mein rakh kar abir-o-abrak
bhar muThiyan mein phenke kar ke pukar holi

shishon mein zafaran ka rang-e-shabab bhar kar
upar se qahqahon ke hai bar bar holi

RECITATIONS Azra Naqvi



00:00/00:00 Dikhlaye kis maze se ab ke bahaar holi Azra Naqvi

Leave a comment

+