Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Taban

  • Ghazal


yaad mein teri do-alam ko bhulana hai hamein


yaad meñ terī do-ālam ko bhulānā hai hameñ
umr bhar ab kahīñ aanā hai na jaanā hai hameñ

kahte haiñ ishq kā anjām burā hotā hai
ab to kuchh bhī ho mohabbat ko nibhānā hai hameñ

ḳhalish-e-ishq se bechain hai dil ek taraf
is pe yārab ġham-e-hastī bhī uThānā hai hameñ

haa.e vo aag jo mushkil se jalī thī dil meñ
aaj us aag ke sho.aloñ ko bujhānā hai hameñ

ruḳhsat-e-arz-e-tamannā nahīñ miltī na mile
qissa-e-shauq nigāhoñ se sunānā hai hameñ

aap kāñToñ se jo bachte hue chalte haiñ chaleñ
dāman-e-shauq ko phūloñ se bachānā hai hameñ

haa.e is sharm-e-mohabbat kā burā ho 'tābāñ'
ishq kā raaz ḳhud un se bhī chhupānā hai hameñ

yaad mein teri do-alam ko bhulana hai hamein
umr bhar ab kahin aana hai na jaana hai hamein

kahte hain ishq ka anjam bura hota hai
ab to kuchh bhi ho mohabbat ko nibhana hai hamein

KHalish-e-ishq se bechain hai dil ek taraf
is pe yarab gham-e-hasti bhi uThana hai hamein

hae wo aag jo mushkil se jali thi dil mein
aaj us aag ke shoalon ko bujhana hai hamein

ruKHsat-e-arz-e-tamanna nahin milti na mile
qissa-e-shauq nigahon se sunana hai hamein

aap kanTon se jo bachte hue chalte hain chalen
daman-e-shauq ko phulon se bachana hai hamein

hae is sharm-e-mohabbat ka bura ho 'taban'
ishq ka raaz KHud un se bhi chhupana hai hamein


Source: Book : Noquush (Pg. B-338 E-346) Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954) Edition : May June 1954

Leave a comment

+