Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Karrar Noori

  • Ghazal


har chand apna haal na humse bayan hua


har chand apnā haal na ham se bayāñ huā
ye harf-e-be-vajūd magar dāstāñ huā

maanā ki ham pe aaj koī mehrbāñ huā
dil kāñptā hai ye bhī agar imtihāñ huā

jo kuchh maiñ kah chukā huuñ zarā us pe ġhaur kar
jo kuchh bayāñ huā hai ba-mushkil bayāñ huā

ab tum ko jis ḳhulūs kī ham se umiid hai
muddat huī vo nazr-e-dil-e-dostāñ huā

tūfān-e-zindagī meñ zarūrat thī jab tirī
mujh ko har ek mauj pe terā gumāñ huā

ādāb-e-qaid-o-band ne badlā ajiib rañg
kunj-e-qafas kā naam bhī ab āshiyāñ huā

aañsū nikal paḌe haiñ ḳhushī meñ tire huzūr
kis tamkanat ke saath ye dariyā ravāñ huā

har chand apna haal na hum se bayan hua
ye harf-e-be-wajud magar dastan hua

mana ki hum pe aaj koi mehrban hua
dil kanpta hai ye bhi agar imtihan hua

jo kuchh main kah chuka hun zara us pe ghaur kar
jo kuchh bayan hua hai ba-mushkil bayan hua

ab tum ko jis KHulus ki hum se umid hai
muddat hui wo nazr-e-dil-e-dostan hua

tufan-e-zindagi mein zarurat thi jab teri
mujh ko har ek mauj pe tera guman hua

aadab-e-qaid-o-band ne badla ajib rang
kunj-e-qafas ka nam bhi ab aashiyan hua

aansu nikal paDe hain KHushi mein tere huzur
kis tamkanat ke sath ye dariya rawan hua


Source: Book : auraq salnama magazines (Pg. 516) Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967) Edition : 1967

Leave a comment

+