havā-e-hijr chalī dil kī regzāroñ meñ
sharār jalte haiñ palkoñ kī shāḳh-sāroñ meñ
koī to mauja-e-tūfāñ idhar bhī aa nikle
safīne Duub chale bahr ke kināroñ meñ
unhīñ kī hasrat-e-rafta kī yādgār huuñ maiñ
jo log rah ga.e tanhā bharī bahāroñ meñ
hamīñ vo sūkhe hue zard peḌ haiñ jo kabhī
bahār bāñTte phirte the gul-ezāroñ meñ
'zahīr' vo bhī samajhte haiñ ab zabān-e-ġhazal
chhupāo laakh ġham-e-hijr isti.āroñ meñ
hawa-e-hijr chali dil ki regzaron mein
sharar jalte hain palkon ki shaKH-saron mein
koi to mauja-e-tufan idhar bhi aa nikle
safine Dub chale bahr ke kinaron mein
unhin ki hasrat-e-rafta ki yaadgar hun main
jo log rah gae tanha bhari bahaaron mein
hamin wo sukhe hue zard peD hain jo kabhi
bahaar banTte phirte the gul-ezaron mein
'zahir' wo bhi samajhte hain ab zaban-e-ghazal
chhupao lakh gham-e-hijr istiaron mein
Leave a comment