Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Moradaabadi

  • Ghazal


gham-e-hasti na kuchh fikr-e-dil-o-jaan hai jahan main hun


ġham-e-hastī na kuchh fikr-e-dil-o-jāñ hai jahāñ maiñ huuñ
ki har har gaam par koī nigahbāñ hai jahāñ maiñ huuñ

har ik nazzāra sau pardoñ meñ pinhāñ hai jahāñ maiñ huuñ
ḳhudā jaane kahāñ kal bazm-e-imkāñ hai jahāñ maiñ huuñ

har ik jazba ta.ayyun se gurezāñ hai jahāñ maiñ huuñ
ġham-e-dil be-niyāz-e-kufr-o-īmāñ hai jahāñ maiñ huuñ

kamāl-e-be-ḳhudī manzil-ba-manzil kaam kartā hai
junūn-e-justujū sar-dar-garebāñ hai jahāñ maiñ huuñ

havā meñ ik musalsal irti.āsh-e-shauq hai pinhāñ
fazā meñ paiham ik bijlī sī raqsāñ hai jahāñ maiñ huuñ

ġham-e-hāsil muqayyad kar rahā hai sa.ī-e-hāsil ko
mazāq-e-ārzū dīvār-e-zindāñ hai jahāñ maiñ huuñ

mujhe har yaum ishrat partav-e-rū-e-nigārīñ hai
shab-e-ġham sāya-e-zulf-e-pareshāñ hai jahāñ maiñ huuñ

kahāñ ke aish-o-ġham kaisī murādeñ kaise andeshe
ki saarī zindagī ḳhvāb-e-pareshāñ hai jahāñ maiñ huuñ

junūn insān ke andāz-e-farzāna ko kahte haiñ
ḳhirad kā naam ehsās-e-pashemāñ hai jahāñ maiñ huuñ

jo har manzil meñ rahbar thā vo ab bhī saath hai varna
yahāñ har gaam par laġhzish kā imkāñ hai jahāñ maiñ huuñ

kisī se 'kaif' maiñ rāz-e-haqīqat kis tarah pūchhūñ
har ik sūrat har ik nazzāra hairāñ hai jahāñ maiñ huuñ

gham-e-hasti na kuchh fikr-e-dil-o-jaan hai jahan main hun
ki har har gam par koi nigahban hai jahan main hun

har ek nazzara sau pardon mein pinhan hai jahan main hun
KHuda jaane kahan kal bazm-e-imkan hai jahan main hun

har ek jazba tayyun se gurezan hai jahan main hun
gham-e-dil be-niyaz-e-kufr-o-iman hai jahan main hun

kamal-e-be-KHudi manzil-ba-manzil kaam karta hai
junun-e-justuju sar-dar-gareban hai jahan main hun

hawa mein ek musalsal irtiash-e-shauq hai pinhan
faza mein paiham ek bijli si raqsan hai jahan main hun

gham-e-hasil muqayyad kar raha hai sai-e-hasil ko
mazaq-e-arzu diwar-e-zindan hai jahan main hun

mujhe har yaum ishrat partaw-e-ru-e-nigarin hai
shab-e-gham saya-e-zulf-e-pareshan hai jahan main hun

kahan ke aish-o-gham kaisi muraden kaise andeshe
ki sari zindagi KHwab-e-pareshan hai jahan main hun

junun insan ke andaz-e-farzana ko kahte hain
KHirad ka nam ehsas-e-pasheman hai jahan main hun

jo har manzil mein rahbar tha wo ab bhi sath hai warna
yahan har gam par laghzish ka imkan hai jahan main hun

kisi se 'kaif' main raaz-e-haqiqat kis tarah puchhun
har ek surat har ek nazzara hairan hai jahan main hun


Leave a comment

+