Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faizul Amin Faiz

  • Ghazal


hansa tha do-ghaDi barson magar aansu bahaya tha


hañsā thā do-ghaḌī barsoñ magar aañsū bahāyā thā
maiñ jab chhoTā thā ik laḌkī se maiñ ne dil lagāyā thā

mire pairoñ ke nīche kī zamīñ banjar thī kuchh itnī
sabā ne ek gul kitne zamāne meñ khilāyā thā

sulagtī dhuup meñ socho safar kaise kaTā hogā
mirī manzil thī kyā aur tum ne kyā rasta dikhāyā thā

mohabbat aag hai aisī jo paanī se nahīñ bujhtī
zamāne ne abas sho.ale ko muTThī meñ dabāyā thā

maiñ ḳhud mahsūs kartā huuñ ki ab āzād huuñ maiñ bhī
ki piñjrā khol kar maiñ ne parindoñ ko uḌāyā thā

mire hāthoñ pe sūkhe phuul kī kuchh pattiyāñ rakh kar
bichhaḌte vaqt us ne mujh ko siine se lagāyā thā

hansa tha do-ghaDi barson magar aansu bahaya tha
main jab chhoTa tha ek laDki se main ne dil lagaya tha

mere pairon ke niche ki zamin banjar thi kuchh itni
saba ne ek gul kitne zamane mein khilaya tha

sulagti dhup mein socho safar kaise kaTa hoga
meri manzil thi kya aur tum ne kya rasta dikhaya tha

mohabbat aag hai aisi jo pani se nahin bujhti
zamane ne abas shoale ko muTThi mein dabaya tha

main KHud mahsus karta hun ki ab aazad hun main bhi
ki pinjra khol kar main ne parindon ko uDaya tha

mere hathon pe sukhe phul ki kuchh pattiyan rakh kar
bichhaDte waqt us ne mujh ko sine se lagaya tha


Source: Book : Handwriting File Mail By Salim Saleem

Leave a comment

+