ḳhizāñ ba-rañg-e-bahārāñ hai dekhiye kyā ho
sukūñ ke bhes meñ tūfāñ hai dekhiye kyā ho
ilāhī ḳhair ho hālāt hī digar-gūñ haiñ
kabhī jo kufr thā īmāñ hai dekhiye kyā ho
ravāñ-davāñ the jo lamhāt ruk ga.e yak-dam
sukūt-e-shām-e-ġharībāñ hai dekhiye kyā ho
kahāñ ga.e vo nasheb-o-farāz yās-o-ummīd
sapāT sā dil-e-vīrāñ hai dekhiye kyā ho
junūn-e-husn had-e-lā-shu.ūr tak pahuñchā
shu.ūr sar-ba-garebāñ hai dekhiye kyā ho
abhī to us kā nishāñ tak milā nahīñ 'tālib'
talāsh-e-azmat-e-insāñ hai dekhiye kyā ho
KHizan ba-rang-e-bahaaran hai dekhiye kya ho
sukun ke bhes mein tufan hai dekhiye kya ho
ilahi KHair ho haalat hi digar-gun hain
kabhi jo kufr tha iman hai dekhiye kya ho
rawan-dawan the jo lamhat ruk gae yak-dam
sukut-e-sham-e-ghariban hai dekhiye kya ho
kahan gae wo nasheb-o-faraaz yas-o-ummid
sapaT sa dil-e-viran hai dekhiye kya ho
junun-e-husn had-e-la-shuur tak pahuncha
shuur sar-ba-gareban hai dekhiye kya ho
abhi to us ka nishan tak mila nahin 'talib'
talash-e-azmat-e-insan hai dekhiye kya ho
Source: Barg-e-Zard
Leave a comment