Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hameed Almas

  • Ghazal


chura ke mere taq se kitab koi le gaya


churā ke mere taaq se kitāb koī le gayā
mirī tamām umr kā hisāb koī le gayā

ye vāqi.a hai jab luTī mire chaman kī aabrū
laraztī shāḳh rah ga.ī gulāb koī le gayā

vahī to ik zarīya-e-najāt mere paas thā
magar mire zamīr kā savāb koī le gayā

savāl ban ke rū-ba-rū khaḌī huī thī zindagī
mirā lahū nichoḌ kar javāb koī le gayā

mire badan meñ chubh rahī thiiñ sūiyāñ sī raat bhar
sahar huī to lutf-e-iztirāb koī le gayā

chhupā liyā hai maiñ ne saarā dard apnī ruuh meñ
tasalliyoñ kā zāhirī naqāb koī le gayā

chura ke mere taq se kitab koi le gaya
meri tamam umr ka hisab koi le gaya

ye waqia hai jab luTi mere chaman ki aabru
larazti shaKH rah gai gulab koi le gaya

wahi to ek zariya-e-najat mere pas tha
magar mere zamir ka sawab koi le gaya

sawal ban ke ru-ba-ru khaDi hui thi zindagi
mera lahu nichoD kar jawab koi le gaya

mere badan mein chubh rahi thin suiyan si raat bhar
sahar hui to lutf-e-iztirab koi le gaya

chhupa liya hai main ne sara dard apni ruh mein
tasalliyon ka zahiri naqab koi le gaya


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+