Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waheed Akhtar

  • Ghazal


ruKHsat-e-nutq zabanon ko riya kya degi


ruḳhsat-e-nutq zabānoñ ko riyā kyā degī
dars haq-goī kā ye bint-e-ḳhatā kyā degī

sajda kartī hai la.īmoñ ke daroñ par duniyā
be-niyāzoñ ko ye be-sharm bhalā kyā degī

yahī hogā ki na aa.egī kabhī ghar mere
mujh ko duniyā-e-dunī aur sazā kyā degī

sāl-hā-sāl ke tūfāñ meñ bhī dil bujh na sakā
zak use sarkashi-e-mauj-e-havā kyā degī

koī mausam ho mahakte haiñ yahāñ zaḳhm ke phuul
mere dāman ko tahī-dast sabā kyā degī

dil to kuchh kahtā hai par sharm se uThte nahīñ haath
dekhnā hai ki ye be-dast duā kyā degī

ḳhvāhish-e-marg hai kuchh paane kī mauhūm ummīd
zindagī de na sakī kuchh to qazā kyā degī

ḳhvāb dekhe haiñ to bedār raho umr tamām
chashm-e-ḳhvābīda ko tābīr-e-silā kyā degī

isī zindān meñ ab kaaT do umr apnī 'vahīd'
maiñ na kahtā thā tumheñ qaid-e-vafā kyā degī

ruKHsat-e-nutq zabanon ko riya kya degi
dars haq-goi ka ye bint-e-KHata kya degi

sajda karti hai laimon ke daron par duniya
be-niyazon ko ye be-sharm bhala kya degi

yahi hoga ki na aaegi kabhi ghar mere
mujh ko duniya-e-duni aur saza kya degi

sal-ha-sal ke tufan mein bhi dil bujh na saka
zak use sarkashi-e-mauj-e-hawa kya degi

koi mausam ho mahakte hain yahan zaKHm ke phul
mere daman ko tahi-dast saba kya degi

dil to kuchh kahta hai par sharm se uThte nahin hath
dekhna hai ki ye be-dast dua kya degi

KHwahish-e-marg hai kuchh pane ki mauhum ummid
zindagi de na saki kuchh to qaza kya degi

KHwab dekhe hain to bedar raho umr tamam
chashm-e-KHwabida ko tabir-e-sila kya degi

isi zindan mein ab kaT do umr apni 'wahid'
main na kahta tha tumhein qaid-e-wafa kya degi

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 ruKHsat-e-nutq zabanon ko riya kya degi Nomaan Shauque

Leave a comment

+