Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


tu hai kaba mein to phir dil mein guzar kis ka hai


tū hai ka.aba meñ to phir dil meñ guzar kis kā hai
lā-makāñ terā agar hai to ye ghar kis kā hai

rokne aa.eñ farishte to maiñ ruk jā.ūñgā
tālib-e-dīd huuñ terā mujhe Dar kis kā hai

saaf qadmoñ se tire jā ke lipaT jā.egā
tere āshiq ke sivā aisā jigar kis kā hai

dil to āġhāz-e-mohabbat meñ huā hai terā
apnī gardan pe hai jo baar ye sar kis kā hai

qais-e-vahshī kā banāyā mujhe saanī kis ne
ishq-e-sādiq kā nahīñ hai to asar kis kā hai

tere inkār ne Daalā hai tahayyur meñ mujhe
dil meñ aur āñkhoñ meñ dar-parda guzar kis kā hai

kyā tamāshā hai 'jamīla' ki vo pūchhe mujh se
dasht-e-ġhurbat meñ ye dil ḳhāk-basar kis kā hai

tu hai kaba mein to phir dil mein guzar kis ka hai
la-makan tera agar hai to ye ghar kis ka hai

rokne aaen farishte to main ruk jaunga
talib-e-did hun tera mujhe Dar kis ka hai

saf qadmon se tere ja ke lipaT jaega
tere aashiq ke siwa aisa jigar kis ka hai

dil to aaghaz-e-mohabbat mein hua hai tera
apni gardan pe hai jo bar ye sar kis ka hai

qais-e-wahshi ka banaya mujhe sani kis ne
ishq-e-sadiq ka nahin hai to asar kis ka hai

tere inkar ne Dala hai tahayyur mein mujhe
dil mein aur aankhon mein dar-parda guzar kis ka hai

kya tamasha hai 'jamila' ki wo puchhe mujh se
dasht-e-ghurbat mein ye dil KHak-basar kis ka hai


Leave a comment

+