Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daud Aurangabadi

  • Ghazal


mera ahwal chashm-e-yar sun puchh


mirā ahvāl chashm-e-yār suuñ pūchh
haqīqat dard kī bīmār suuñ pūchh

mire hāl-e-pareshāñ kī hikāyat
sanam ke zulf ke har taar suuñ pūchh

dil-e-pur-pech kā mere har ek pech
sajan ke chīra-e-bal-dār suuñ pūchh

hamāre andalīb-e-dil kā matlab
piyāre ke gul-e-ruḳhsār suuñ pūchh

sadā be-tāb kyuuñ rahtā hai 'dā.ūd'
piyā ke turra-e-tarrār suuñ pūchh

mera ahwal chashm-e-yar sun puchh
haqiqat dard ki bimar sun puchh

mere haal-e-pareshan ki hikayat
sanam ke zulf ke har tar sun puchh

dil-e-pur-pech ka mere har ek pech
sajan ke chira-e-bal-dar sun puchh

hamare andalib-e-dil ka matlab
piyare ke gul-e-ruKHsar sun puchh

sada be-tab kyun rahta hai 'daud'
piya ke turra-e-tarrar sun puchh


Source: Deewan-e-Daud Aurangabadi

Leave a comment

+