Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Husain Sajid

  • Ghazal


jab koi phul musaKHKHar na ho aasani se


jab koī phuul musaḳhḳhar na ho āsānī se
kaam letā huuñ vahāñ naqd-e-sanā-ḳhvānī se

raushnī dene lage the mirī āñkhoñ ke charāġh
raat taktā thā samundar mujhe hairānī se

kar ke dekhūñgā kisī tarah lahū kī bārish
ātish-e-hijr bujhegī na agar paanī se

un ko paane kī tamannā nahīñ jaatī dil se
kyā munavvar haiñ sitāre mirī tābānī se

koī masrūf hai taz.īn meñ qasr-e-dil kī
chob-kārī se kahīñ ā.ina-sāmānī se

ḳhāk-zādoñ se ta.alluq nahīñ rakhte kuchh log
mezbānī se ġharaz un ko na mehmānī se

maiñ isī ḳhaak pe baiThā huuñ baḌe shauq ke saath
koī nisbat nahīñ ab tak mujhe sultānī se

band ho jaa.e agar rauzan-e-imkān-e-ḳhayāl
ḳhvāb khulte haiñ mire dil meñ farāvānī se

merī sūrat se jo bezār haiñ ab bhī 'sājid'
kab vo ḳhush hoñge mire tarz-e-musalmānī se

jab koi phul musaKHKHar na ho aasani se
kaam leta hun wahan naqd-e-sana-KHwani se

raushni dene lage the meri aankhon ke charagh
raat takta tha samundar mujhe hairani se

kar ke dekhunga kisi tarah lahu ki barish
aatish-e-hijr bujhegi na agar pani se

un ko pane ki tamanna nahin jati dil se
kya munawwar hain sitare meri tabani se

koi masruf hai tazin mein qasr-e-dil ki
chob-kari se kahin aaina-samani se

KHak-zadon se talluq nahin rakhte kuchh log
mezbani se gharaz un ko na mehmani se

main isi KHak pe baiTha hun baDe shauq ke sath
koi nisbat nahin ab tak mujhe sultani se

band ho jae agar rauzan-e-imkan-e-KHayal
KHwab khulte hain mere dil mein farawani se

meri surat se jo bezar hain ab bhi 'sajid'
kab wo KHush honge mere tarz-e-musalmani se


Leave a comment

+