Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bashar Nawaz

  • Ghazal


bahut tha KHauf jis ka phir wahi qissa nikal aaya


bahut thā ḳhauf jis kā phir vahī qissā nikal aayā
mire dukh se kisī āvāz kā rishtā nikal aayā

vo sar se paañv tak jaise sulagtī shaam kā manzar
ye kis jaadū kī bastī meñ dil-e-tanhā nikal aayā

jin āñkhoñ kī udāsī meñ bayābāñ saañs lete haiñ
unhīñ kī yaad meñ naġhmoñ kā ye dariyā nikal aayā

sulagte dil ke āñgan meñ huī ḳhvāboñ kī phir bārish
kahīñ koñpal mahak uTThī kahīñ pattā nikal aayā

pighal uThtā hai ik ik lafz jin hoñToñ kī hiddat se
maiñ un kī aañch pī kar aur bhī sachchā nikal aayā

gumāñ thā zindagī be-samt o be-manzil bayābāñ hai
magar ik naam par phūloñ-bharā rastā nikal aayā

bahut tha KHauf jis ka phir wahi qissa nikal aaya
mere dukh se kisi aawaz ka rishta nikal aaya

wo sar se panw tak jaise sulagti sham ka manzar
ye kis jadu ki basti mein dil-e-tanha nikal aaya

jin aankhon ki udasi mein bayaban sans lete hain
unhin ki yaad mein naghmon ka ye dariya nikal aaya

sulagte dil ke aangan mein hui KHwabon ki phir barish
kahin konpal mahak uTThi kahin patta nikal aaya

pighal uThta hai ek ek lafz jin honTon ki hiddat se
main un ki aanch pi kar aur bhi sachcha nikal aaya

guman tha zindagi be-samt o be-manzil bayaban hai
magar ek nam par phulon-bhara rasta nikal aaya


Source: Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 247) Author : Farooq Argali Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+