Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Urfi Aafaqi

  • Ghazal


phir kya jo phuT phuT ke KHalwat mein roiye


phir kyā jo phuuT phuuT ke ḳhalvat meñ roiye
yaksar jahān hī ko na jab tak Duboiye

dīvāna-vār nāchiye hañsiye guloñ ke saath
kāñTe agar mileñ to jigar meñ chubhoiye

aañsū jahāñ bhī jis kī bhī āñkhoñ meñ dekhiye
motī samajh ke rishta-e-jāñ meñ piroiye

har sub.h ik jazīra-e-nau kī talāsh meñ
sāhil se duur shorish-e-tūfāñ ke hoiye

phir kya jo phuT phuT ke KHalwat mein roiye
yaksar jahan hi ko na jab tak Duboiye

diwana-war nachiye hansiye gulon ke sath
kanTe agar milen to jigar mein chubhoiye

aansu jahan bhi jis ki bhi aankhon mein dekhiye
moti samajh ke rishta-e-jaan mein piroiye

har subh ek jazira-e-nau ki talash mein
sahil se dur shorish-e-tufan ke hoiye


Leave a comment

+