Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aasi Faiqi

  • Ghazal


humse milte hain wo dar-parda shikayat ke ewaz


ham se milte haiñ vo dar-parda shikāyat ke evaz
chāñd rū-posh ho jis tarah latāfat ke evaz

apnī hastī ko miTā kar hī to paayā hai use
ham ko hāsil hai razā us kī itā.at ke evaz

zindagānī tirī barbād nahīñ hotī kabhī
har amal hotā jo al-hamd kī aayat ke evaz

husn-e-jiddat se bhī ārāsta kar liije kalām
aap pāband-e-rivāyat na hoñ aadat ke evaz

munhasir 'āsī' pe kiyā aur bhī mun.im haiñ bahut
paas jo kuchh rakho rahtā hai kifāyat ke evaz

hum se milte hain wo dar-parda shikayat ke ewaz
chand ru-posh ho jis tarah latafat ke ewaz

apni hasti ko miTa kar hi to paya hai use
hum ko hasil hai raza us ki itaat ke ewaz

zindagani teri barbaad nahin hoti kabhi
har amal hota jo al-hamd ki aayat ke ewaz

husn-e-jiddat se bhi aarasta kar lije kalam
aap paband-e-riwayat na hon aadat ke ewaz

munhasir 'asi' pe kiya aur bhi munim hain bahut
pas jo kuchh rakho rahta hai kifayat ke ewaz


Source:

Leave a comment

+