dil meñ ab āvāz kahāñ hai
TuuT gayā to saaz kahāñ hai
aañkh meñ aañsū lab pe ḳhamoshī
dil kī baat ab raaz kahāñ hai
sarv-o-sanobar sab ko dekhā
un kā sā andāz kahāñ hai
dil ḳhvābīda ruuh fasurda
vo josh-e-āġhāz kahāñ hai
parda bhī jalva ban jaatā
aañkh tajallī-sāz kahāñ hai
but-ḳhāne kā azm hai 'māhir'
ka.abe kā dar baaz kahāñ hai
dil mein ab aawaz kahan hai
TuT gaya to saz kahan hai
aankh mein aansu lab pe KHamoshi
dil ki baat ab raaz kahan hai
sarw-o-sanobar sab ko dekha
un ka sa andaz kahan hai
dil KHwabida ruh fasurda
wo josh-e-aghaz kahan hai
parda bhi jalwa ban jata
aankh tajalli-saz kahan hai
but-KHane ka azm hai 'mahir'
kabe ka dar baz kahan hai
Source: Book : Noquush (Pg. B-341 E-357) Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954) Edition : May June 1954
Leave a comment