Subscribe to our newsletter and get our newest updates

B S Jain Jauhar

  • Ghazal


ghaTa sawan ki umDi aa rahi hai


ghaTā sāvan kī umDī aa rahī hai
payām-e-ashk bhar bhar lā rahī hai

ragoñ meñ ḳhuun gardish kar rahā hai
javānī sāz-e-dil par gā rahī hai

rulātā hai unheñ bhī kyā ye sāvan
mujhe kaalī ghaTā taḌpā rahī hai

tarannum-ḳhez jamunā ke kināre
kisī kī yaad paiham aa rahī hai

ye āḳhir kaun hai jo chup khaḌā hai
nazar har baar dhokā khā rahī hai

ham apne dil kā dukhḌā ro rahe haiñ
tumhārī aañkh jhapkī jā rahī hai

tum apne dhyān meñ Duubī huī ho
tumhārī oḌhnī lahrā rahī hai

mirī be-ḳhvāb āñkhoñ ko mubārak
ki āḳhir maut kī niiñd aa rahī hai

ghaTa sawan ki umDi aa rahi hai
payam-e-ashk bhar bhar la rahi hai

ragon mein KHun gardish kar raha hai
jawani saz-e-dil par ga rahi hai

rulata hai unhen bhi kya ye sawan
mujhe kali ghaTa taDpa rahi hai

tarannum-KHez jamuna ke kinare
kisi ki yaad paiham aa rahi hai

ye aaKHir kaun hai jo chup khaDa hai
nazar har bar dhoka kha rahi hai

hum apne dil ka dukhDa ro rahe hain
tumhaari aankh jhapki ja rahi hai

tum apne dhyan mein Dubi hui ho
tumhaari oDhni lahra rahi hai

meri be-KHwab aankhon ko mubarak
ki aaKHir maut ki nind aa rahi hai


Source: Book : Tarana-e-bedari (Pg. 194) Author : B.S.Jain Jauhar Publication : Navrang Kitab Ghar 259,A, Pocket-1 Mayur Vihar Phase-1, Delhi-110091 (2005) Edition : 2005

Leave a comment

+