Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kamran Adil

  • Ghazal


mere kamre mein jo bikhri hui hai


mire kamre meñ jo bikhrī huī hai
ye vīrānī kisī kī dī huī hai

mujhe kal ḳhvāb meñ sahrā dikhā thā
badan se ḳhaak sī lipTī huī hai

yaqīnan hai usī ke tan kī ḳhushbū
mirī ġhazloñ meñ jo mahkī huī hai

adab vaale adab se khelte haiñ
zabān-e-'mīr' bhī kaḌvī huī hai

vo sachchā.ī jise tum DhūñDhte ho
salīb-o-dār par laTkī huī hai

kise kahte haiñ ġhurbat jāntā huuñ
mire dālān meñ khelī huī hai

sharāfat ab hayā īmān-dārī
kahāñ DhūñDhuñ kahāñ rakkhī huī hai

tū jis kī yaad meñ Duubā hai 'ādil'
vo kis kī soch meñ khoī huī hai

mere kamre mein jo bikhri hui hai
ye virani kisi ki di hui hai

mujhe kal KHwab mein sahra dikha tha
badan se KHak si lipTi hui hai

yaqinan hai usi ke tan ki KHushbu
meri ghazlon mein jo mahki hui hai

adab wale adab se khelte hain
zaban-e-'mir' bhi kaDwi hui hai

wo sachchai jise tum DhunDhte ho
salib-o-dar par laTki hui hai

kise kahte hain ghurbat jaanta hun
mere dalan mein kheli hui hai

sharafat ab haya iman-dari
kahan DhunDhun kahan rakkhi hui hai

tu jis ki yaad mein Duba hai 'adil'
wo kis ki soch mein khoi hui hai


Leave a comment

+