kahāñ le aa.e mujh ko maiñ kahāñ thā
kisī muflis kā shāyad āshiyāñ thā
nahīñ pahchān paayā ahl-e-dil ko
mubassir kī nazar meñ kuchh dhuāñ thā
nishāñ ulfat kā vāhid taaj hī hai
guzishta daur meñ ik shah-jahāñ thā
tirā āshiq tirā bālam thā ghāyal
tirī āñkhoñ meñ hī tīr-o-kamāñ thā
sanam-ḳhānoñ meñ jalve ishq ke the
butoñ ko tere aane kā gumāñ thā
kahan le aae mujh ko main kahan tha
kisi muflis ka shayad aashiyan tha
nahin pahchan paya ahl-e-dil ko
mubassir ki nazar mein kuchh dhuan tha
nishan ulfat ka wahid taj hi hai
guzishta daur mein ek shah-jahan tha
tera aashiq tera baalam tha ghayal
teri aankhon mein hi tir-o-kaman tha
sanam-KHanon mein jalwe ishq ke the
buton ko tere aane ka guman tha
Leave a comment