chaal apnī adā se chalte haiñ
ham kahāñ kaj-ravī se Talte haiñ
zindagī be-ruḳhī se pesh na aa
tujh pe ehsāñ mire nikalte haiñ
kārdāñ haiñ balā ke sab chehre
aa.ine ko hunar se chhalte haiñ
koī ātish-fishāñ hai siine meñ
ashk misl-e-sharar nikalte haiñ
us ke tarz-e-suḳhan ke maare log
apnā lahja kahāñ badalte haiñ
aaj so luuñ ki hai suhulat-e-shab
din kahāñ roz roz Dhalte haiñ
aa ga.ī lau ḳhizāñ kī parbat tak
vādiyoñ meñ chīnār jalte haiñ
panja-e-zehn ke tale paiham
tā.ir-e-dil ka.ī machalte haiñ
ḳhvāb kā jin na aa.egā bāhar
be-sabab aap aañkh malte haiñ
tujh se kirdār hoñ 'bakul' jin meñ
aise qisse kahāñ sambhalte haiñ
chaal apni ada se chalte hain
hum kahan kaj-rawi se Talte hain
zindagi be-ruKHi se pesh na aa
tujh pe ehsan mere nikalte hain
kardan hain bala ke sab chehre
aaine ko hunar se chhalte hain
koi aatish-fishan hai sine mein
ashk misl-e-sharar nikalte hain
us ke tarz-e-suKHan ke mare log
apna lahja kahan badalte hain
aaj so lun ki hai suhulat-e-shab
din kahan roz roz Dhalte hain
aa gai lau KHizan ki parbat tak
wadiyon mein chinar jalte hain
panja-e-zehn ke tale paiham
tair-e-dil kai machalte hain
KHwab ka jin na aaega bahar
be-sabab aap aankh malte hain
tujh se kirdar hon 'bakul' jin mein
aise qisse kahan sambhalte hain
Leave a comment