Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iman Qaisrani

  • Ghazal


fughan-e-nim-shabi mein koi asar de de


fuġhān-e-nīm-shabī meñ koī asar de de
jo ho sake to duāoñ kā ab samar de de

visāl-e-yār ki jis meñ charāġh jalte hoñ
mire nasīb ko aisā hī ik nagar de de

bas ik savāl hai us ke buland mansab se
qafas-nasīb ko mumkin hai koī ghar de de

maiñ apne zaḳhm ḳhud apne lahū se sīñchūñgī
mujhe qarār na de koī chāragar de de

vo aañkh bujh ga.ī jis se charāġh jalte the
tamām tiira gharoñ meñ koī ḳhabar de de

maiñ āshiyāne ke tinke sajā.e baiThī huuñ
havā ke haath meñ nanhā sā ik sharar de de

maiñ us ke zarf ke baare meñ aur kyā likkhūñ
jo apne sahn se duniyā ko rahguzar de de

gunah savāb ke saare hī rañg hoñ us meñ
farishta chhoḌ ke mujh ko koī bashar de de

ye raat baḌh ga.ī 'īmāñ' koī ḳhudā ke liye
ḳhudā se kah do ki lillāh hameñ sahar de de

fughan-e-nim-shabi mein koi asar de de
jo ho sake to duaon ka ab samar de de

visal-e-yar ki jis mein charagh jalte hon
mere nasib ko aisa hi ek nagar de de

bas ek sawal hai us ke buland mansab se
qafas-nasib ko mumkin hai koi ghar de de

main apne zaKHm KHud apne lahu se sinchungi
mujhe qarar na de koi chaaragar de de

wo aankh bujh gai jis se charagh jalte the
tamam tera gharon mein koi KHabar de de

main aashiyane ke tinke sajae baiThi hun
hawa ke hath mein nanha sa ek sharar de de

main us ke zarf ke bare mein aur kya likkhun
jo apne sahn se duniya ko rahguzar de de

gunah sawab ke sare hi rang hon us mein
farishta chhoD ke mujh ko koi bashar de de

ye raat baDh gai 'iman' koi KHuda ke liye
KHuda se kah do ki lillah hamein sahar de de


Leave a comment

+