musībat meñ zamīñ bhī kam nahīñ hai
so bechainī kahīñ bhī kam nahīñ hai
tumhāre dil meñ kyā hai kuchh to bolo
tumhārā kuchh nahīñ'' bhī kam nahīñ hai
nahīñ jhuktā kisī ke ḳhauf se dil
ye nannhī sī jabīñ bhī kam nahīñ hai
mashām-e-jāñ mo.attar aur dil bhī
tirī ḳhushbū kahīñ bhī kam nahīñ hai
agarche be-yaqīnī bhī hai thoḌī
use mujh par yaqīñ bhī kam nahīñ hai
tumheñ hai ḳhauf atom bam kā itnā
ye āh-e-ātishīñ bhī kam nahīñ hai
chalo kah do ki hai mujh se mohabbat
nahīñ hai tū nahīñ bhī kam nahīñ hai
sitam sah kar bhī dil rahtā hai 'rāġhib'
ki vo zālim hasīñ bhī kam nahīñ hai
musibat mein zamin bhi kam nahin hai
so bechaini kahin bhi kam nahin hai
tumhaare dil mein kya hai kuchh to bolo
tumhaara kuchh nahin bhi kam nahin hai
nahin jhukta kisi ke KHauf se dil
ye nannhi si jabin bhi kam nahin hai
masham-e-jaan moattar aur dil bhi
teri KHushbu kahin bhi kam nahin hai
agarche be-yaqini bhi hai thoDi
use mujh par yaqin bhi kam nahin hai
tumhein hai KHauf atom bam ka itna
ye aah-e-atishin bhi kam nahin hai
chalo kah do ki hai mujh se mohabbat
nahin hai tu nahin bhi kam nahin hai
sitam sah kar bhi dil rahta hai 'raghib'
ki wo zalim hasin bhi kam nahin hai
Leave a comment