Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dilshad Naseem

  • Ghazal


meri KHizan to sabz hui is KHumar mein


merī ḳhizāñ to sabz huī is ḳhumār meñ
aane kā us ne va.ada kiyā hai bahār meñ

rakkhī huī hai laaj mirī mere ishq ne
varna to kyā rakhā huā hai intizār meñ

ghar bhī mujhe to dasht sā lagtā hai tere bin
lagtā nahīñ hai dil mirā ujḌe dayār meñ

ab jo sulūk tū kare ye zarf hai tirā
maiñ aa ga.ī huuñ aaj tire iḳhtiyār meñ

raushan na ho sakī kabhī ye shām-e-ġham mirī
maiñ ne jalā.e diip ka.ī e'tibār meñ

merī vafā ke zikr pe us kī vo ḳhāmushī
saare javāb mil ga.e is iḳhtisār meñ

dekhī to hogī raah mirī us ne bhī kabhī
aayā bhī hogā ashk mire chashm-e-yār meñ

dekhā hai maiñ ne mo.ajiza 'dilshād' aisā bhī
hañsne se us ke gul khile haiñ kunj-e-ḳhār meñ

meri KHizan to sabz hui is KHumar mein
aane ka us ne wada kiya hai bahaar mein

rakkhi hui hai laj meri mere ishq ne
warna to kya rakha hua hai intizar mein

ghar bhi mujhe to dasht sa lagta hai tere bin
lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein

ab jo suluk tu kare ye zarf hai tera
main aa gai hun aaj tere iKHtiyar mein

raushan na ho saki kabhi ye sham-e-gham meri
main ne jalae dip kai e'tibar mein

meri wafa ke zikr pe us ki wo KHamushi
sare jawab mil gae is iKHtisar mein

dekhi to hogi rah meri us ne bhi kabhi
aaya bhi hoga ashk mere chashm-e-yar mein

dekha hai main ne moajiza 'dilshad' aisa bhi
hansne se us ke gul khile hain kunj-e-KHar mein


Leave a comment

+