Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prem Bhandari

  • Ghazal


basti mein qatl-e-am ki koshish na ban saka


bastī meñ qatl-e-ām kī koshish na ban sakā
maiñ qātiloñ ke zehn kī sāzish na ban sakā

koī kamī na us meñ thī shāyad isī liye
vo shaḳhs mere vāste ḳhvāhish na ban sakā

maiñ ruk nahīñ sakā to mirī bebasī thī ye
bādal thā us ke sahn meñ bārish na ban sakā

jis par tamām-umr bahut naaz thā mujhe
merā vo ilm merī sifārish na ban sakā

kyā baat thī vo dil meñ mire umr-bhar rahā
jo shaḳhs mere ghar kī numā.ish na ban sakā

basti mein qatl-e-am ki koshish na ban saka
main qatilon ke zehn ki sazish na ban saka

koi kami na us mein thi shayad isi liye
wo shaKHs mere waste KHwahish na ban saka

main ruk nahin saka to meri bebasi thi ye
baadal tha us ke sahn mein barish na ban saka

jis par tamam-umr bahut naz tha mujhe
mera wo ilm meri sifarish na ban saka

kya baat thi wo dil mein mere umr-bhar raha
jo shaKHs mere ghar ki numaish na ban saka


Source: Khushboo Rang Sada ke Sang

Leave a comment

+